क्या आप भाजपा नेता जसवंत सिंह के इस कथन से सहमत हैं कि भारत सभ्य देश नहीं है?

4 Comments

  • amit kumar rai - 12 years ago

    aazadi ke baad 2 dasak tak hamne jis doordarsita,saahas dhairya evam sayam ka parichay diya ,jissse pure vishwa ko laga ki bharat bahut jald ek mahashakti ban kar ubhrega,lekin aisa nahi huan. hamaare desh ke rajnetaon ne tatha unki sah par afsaron ne desh ko khoob loota.loktantra ke kokh se janme lallo, mulayam, mayawati jaise neta raatoraat arabpati,kharabpati ban gaye.in desi angrejo ne desh ko khokhala karne me koi kor kasar nahi chhori.khas taur par congress party ne sambidhan ka majak khoob udaya.baat chahe 1975 ke aapat kaal ki ho ya abhi CAG jaisi pak saaf sanstha ke upar hamala bolna. Rahi sahi kasar v.p. singh ne poora kiya. jisne desh ko jatiyta ki aag me jhokney ka kaam kiya.

  • Tulsi Anna - 12 years ago

    Bharat aaj kahin se bhi ashabhya lagta hai to in rajnetaon ke karan.
    hamare desh ko asabhya kahne ka arth hai humara pura samaj ashabhya hai. aur huamra samaj ik individual se banta hai means bharat ka her ik nagrik ashabhya hai.
    ye neta log ye kyon nahi bolte ki hamare desh ke rajneta asabhya hain.................

  • sanjay kumar - 12 years ago

    is sabhya desh ke ye jo neta hai inhi ke bajah se desh asabhya hai

  • Shashi Kant Shukla - 12 years ago

    Mahatma Gadhi Ka Jo Bharat Sapna Tha Wah Nahi Ho Paya
    Yah India Carpcation India Ban Gaya Hai

Leave a Comment

0/4000 chars


Submit Comment